sitaron ko kahan haasil hai
kahin pe gum ho jaana
tere ghamon ko bhi dekha aye humdum
sirf in muskurahaton pe na jaana
badri kabhi chhayi ho sakti hai
lekin kahan tak ye chaadar odhoge
bas ek hawa ka jhonka chahiye
phir is badri ko bhi kahin hai beh jaana
kitni door talak tu akela chala aaya
kitna gubaar nikla aur karwan kahan gaya
manzil haasil karne ka jazba abhi baaki hai
tere chehre ki dhool pe kyun jaana
tu kahin bhi rahe
meri nigaah mein rahega
namumkin hai tera
mujhse juda ho jana
tujhse to raahen roshan hain
ye khushiyon ka aalam bhi
phir ye kaisa sabab ke teri aankhon
mein aansoo ka aa jaana
raaste to sirf manzil tak jaate hain
phir kyun raaste ki talaash mein jaana
sitaron ko kahan haasil hai
kahin pe gum ho jaana
----Amit
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
good one.
very nice gazal great job
Post a Comment