Wednesday, February 28, 2007

waqt

mujhko sooli pe chadhaa diya
safai ka koi mauka bhi na diya

na ikraar aur na izhaar
bina takraar mujhe door kar diya

tadap ko kaise bujhaayen hum
chashmenam bhi naseeb na kiya

har koi saath chhod chalaa
aaj mere aansoo ne bhi dagaa hee diya

waqt pe nahin chalta hai kisi ka zor
aaj dekho zauq ko gunaahgaar banaa diya
----Amit

No comments: